Wednesday, April 18, 2012

Natiq Lakhnavi - Calcutta - 1939

Bujhi Hoowi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Keh Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ab Apni Hasti Mita Raha Hoon

Teri Hi Soorat Kay Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Keh Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Bana Raha Hoon

Kafan Mein Khudh Ko Chupa Liya Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Nah Zehmat
Naqaab Apne Leeay Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon

Falak Jab Apni Teraf Say Mujh Ko, Hazaar Sadmay Day Raha Hai
To Ishq Ka Us Main Bhi Aik Gham Khushi Say Utha Raha Hoon

Jala Kay Shama-E-Umeed Phir Say Baha Raha Hoon Phir Ashq-E-Khooneen
Bujhi Hoowi Ko Jala Raha Hoon Jail Hoowi Ko Bujha Raha Hoon

Udhar Wo Ghar Se Nikal Pare Hein, Idhar Mera Dam Nikal Raha Hai
Ilahi Kaise Hai Yeh Qayamat? Woh Aa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat?
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon

Khilengay Johar Jo Ishq Main Hain, Bharam Khulay Ga Jo Husn Ka Hai
Wafa Ko Tum Aazma Rahay Ho, Jafa Ko Main Aazma Raha Hoon

Nazar Meri Husn Ki Musannif, To Dil Mira Jor Ka Moallif
Woh Mujh Ko Itna Mitaingay Kya Main Khud Ko Jitna Mita Raha Hoon

Falak Mujhe Kis Tarhan Mitata Zaman Kya Khaak Main Milata
Main Us Ka Rukh Dekhta Raha Hoon, Nigah’a Pehchanta Raha Hoon

Yeh Waqt Mujh Par Hai Bandagi Ka Jisay Kaho Sajdah Kar Doon Warna
Azal Say Ta’ahad-E-Afireenash Main Aap Apna Khuda Raha Hoon

Sawal Karnay Na Diya Mujhay Kabhi Teri Shokhiy-E-Karam Nay
Agarche Sa’il Hoon Teray Dard Magar Sada Be-Sada Raha Hoon

Zubaan Pay Labaik Her Nafas Mein, Zameen Pay Sajdain Hain Her Qadam Par
Chala Hoon Yoon Butkaday Ko ‘Natiq’, Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon



Ustad Nusrat Fateh Ali Khan's Rendition of Selected Verses:

Thursday, May 13, 2010

In Honour of Syed Nasir R. Zaidi

Nasir Bhai has shared way too many couplets and pieces of Urdu literature with me for me to let them go unmentioned. First and foremost I shall try to preserve here in this pale ink all that he has shared with me:

Starting from the very first:

Khair ki Kamai bhi Ahle-Shar Main Batt Gayee;
Jhoot ki is Dunya main Such Ki Jeb Cut Gayee!

Tasleem-o-Adaab Nasir R. Zaidi

(shared at 00:46 on the 11th of February 2010)

The rest that I share and will periodically do so will just contain the data shared that one as it was the first to have been shared by Nasir Bhai includes a Date/Time Stamp as matter of record only ;-)

Ruba'i:
Kantoon mein reh kar bhi Hum Zindagi Jee Laitay Hain;
Har Zakham ko Apne Haathoon say See Laitay Hain;
Jis Haath ko Keh Diya Hum nay Dost Ka Haath:
Hum us haath say ZEHAR bhi pee Laitay Hain!

Shair:
Kuch Khushi Kay Saye Main aur Kuch Ghamoon Kay Saath Saath
Zindagi Meri Katt hee Rahi hai Uljhanoon Kay Saath Saath!

Musaddas:
Kisi Toofan main jaisay Kinara yaad aata hai;
Mujhe Tanhai main chehra tumhara yaad aata hai;
Suna hai Us kay honton say Tabassum rooth Jata Hai;
Suna hai Us Ko bhi Ghar Hamara yaad aata Hai!
Hamray Roz-o-Shab Ka Yeh Tasalsul Kis Tarhan Tootey:
Usey Jab Bhooltay Hain Woh Dobara Yaad aata Hai!

Hamd:
Woh Bakhshta Hai Gunah-E-Azeem Bhi Lekin
Humari Choti Si Naiki Sambhal Rakhta Hai
Hum Usey Bhool Jatey Hain Roshni Main
Wo Tareeki Main Bhi Humara Khayal Rakhta Hai
Jo Kabhi Dair Say Lautoon To Meri Maa Ki Tarah
Wo Mere Rizq Ka Hissa Nikal Rakhta Hai
Gharon May Jin Kay Diye Bhi Nahin Hain Un kay Liye
Fizah Main Chand Sitaray Uchhal Rakhta Hai
Mera Allah Hai Jaisa, Waisa Koi Bhi Nahin
Woh To Har Dam Har Pal Kisia Ka Kayhal Rakhta Hai

Ghazal:

Mera sawan bhi tum ho meri pyas bhi tum ho;
Sehra ki bahoon mein chupi aas bhi tum ho;

Tum yun to bohat door bohat door ho mujh se:
Ehsas ye hota hai Meray paas hi tum ho!

Har zakhm ki aghosh mein hai dard tumhara;
Har dard mein taskeen ka ehsaas bhi tum ho!

Kho jao to veeran see ho jati hain rahein;
Mil jao to phir Jeenay ka ehsaas bhi tum ho!

Likhta hoon to tum hi utarte ho qalam se:
Parhta hoon to lehja bhi tum; Aawaz bhi tum ho!

Ghazal:

Us ada say bhi hoon Aashna
Tuje itna jis pay ghuroor hai

Mein Jeeyoonga teray baghair bhi
Mujhe zindagi ka shaoor hai

Na Hawas hay mujh me janab ki
Na talab hay saba-o-shabab ki
Tere chashm-e-naz ki khair ho
Mujhe bin piye hee saroor hai

Jo samajh liya tujhe bewafa
To phir is mein teri bhi kia khata
Ye khayal hai mere dimagh ka
Ya meri nazar ka Qasur hai.

Main nikal kay bhi tere daam say
Na giroon ga apnay maqam say
Mein qatil-o-sitamgar hi sahi
Muje tum se ishq zuroor hai!

Ghazal:

Ye Zehmat Bhi To Rafta Rafta Rehmat Ho Hi Jaati Hai;
Musalsal Gham Say, Gham Sehne Ki Aadat Ho Hi Jaati Hai;
Maseeha Ho Agar Tum Sa Zuroorat Kiya Hai Marham Ki:
Keh Kaanton Se Bhi Zakhmo Ki Jaraahat Ho Hi Jati Hai!

Ta’alluq Jin Say Ho Un Par Gila Aaya Hi Karta Hai;
Mohabbat Jin Say Ho Un Say Shikayat Ho Hi Jaati Hai;
Zaruri To Nahi Sooraj Sawa Naizey Pe Aa Jaye:
Badal Jaye Koi Apna Qayamat Ho Hi Jati Hai!

Shair:
Ay Kash Kaheen Aisa Hota Keh Do Dil Hotay Seenay Mein
Ek Toot Bhi Jata Ishq Mein To Takleef Na Hoti Jeenay Mein

Ruba'i:
Jao Kehdo Parhney Walon Say;
Haan kabhi Hum Bhi Parha Karte Thay;
Jitna Syllabus Parh Kar Woh Top Martay Hain:
Utna to hum choice main chor diya karte Thay!

Ruba'i:
Mana Keh Meray Ishq Main Dard Nahin Tha;
Par Dil Mera Be-Dard Nahin Tha;
Hoti Thi Meri Aankhon Say Aansoon Ki Barsat:
Par Un Kay Liye Aansoon aur Paani main koi Farq Nahin Tha!

Ruba'i:
Sapnoon ki dunya main khotay chale gaye;
Haseen Khwaboon Ki Lariyan Pirotay chale gaye;
Jaane kya baat thi Us kay Masoom Chehre mein;
Keh us kay hooway aur hotay chale gaye!


Musaddas:
Bikharti Rait Par Kis Naqsh Ko Aabad Rakhegi
Wo Mujhko Yaad Rakhe Bhi To Kitna Yaad Rakhegi
Use Buniyad Rakhni Hai Abhi Dil Me Muhabat Ki
Magar Ye Sang Sine Par Wo Mere Baad Rakhegi
Palat Kar bhi nahin dekhni teri yeh bay-rukhi mujhe:
Bhula Daingay Tujhe Aisa Keh Tu Bhi Yaad Rakhegi!

The Palest Ink is Brighter than the Best Memory

Nothing could state more aptly the purpose of this blog. I have too much random information stashed up here and there - on my phone - in my books - in the form of random notes on coffee shop tissues or scribbled onto scraps of paper.
Sooner or later I'll end up loosing on of them.
I'm posting things here to only help myself recall things when I need them.
An online repository of literature that I find useful enough to store.