Wednesday, April 18, 2012

Natiq Lakhnavi - Calcutta - 1939

Bujhi Hoowi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Keh Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ab Apni Hasti Mita Raha Hoon

Teri Hi Soorat Kay Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Keh Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Bana Raha Hoon

Kafan Mein Khudh Ko Chupa Liya Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Nah Zehmat
Naqaab Apne Leeay Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon

Falak Jab Apni Teraf Say Mujh Ko, Hazaar Sadmay Day Raha Hai
To Ishq Ka Us Main Bhi Aik Gham Khushi Say Utha Raha Hoon

Jala Kay Shama-E-Umeed Phir Say Baha Raha Hoon Phir Ashq-E-Khooneen
Bujhi Hoowi Ko Jala Raha Hoon Jail Hoowi Ko Bujha Raha Hoon

Udhar Wo Ghar Se Nikal Pare Hein, Idhar Mera Dam Nikal Raha Hai
Ilahi Kaise Hai Yeh Qayamat? Woh Aa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat?
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon

Khilengay Johar Jo Ishq Main Hain, Bharam Khulay Ga Jo Husn Ka Hai
Wafa Ko Tum Aazma Rahay Ho, Jafa Ko Main Aazma Raha Hoon

Nazar Meri Husn Ki Musannif, To Dil Mira Jor Ka Moallif
Woh Mujh Ko Itna Mitaingay Kya Main Khud Ko Jitna Mita Raha Hoon

Falak Mujhe Kis Tarhan Mitata Zaman Kya Khaak Main Milata
Main Us Ka Rukh Dekhta Raha Hoon, Nigah’a Pehchanta Raha Hoon

Yeh Waqt Mujh Par Hai Bandagi Ka Jisay Kaho Sajdah Kar Doon Warna
Azal Say Ta’ahad-E-Afireenash Main Aap Apna Khuda Raha Hoon

Sawal Karnay Na Diya Mujhay Kabhi Teri Shokhiy-E-Karam Nay
Agarche Sa’il Hoon Teray Dard Magar Sada Be-Sada Raha Hoon

Zubaan Pay Labaik Her Nafas Mein, Zameen Pay Sajdain Hain Her Qadam Par
Chala Hoon Yoon Butkaday Ko ‘Natiq’, Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon



Ustad Nusrat Fateh Ali Khan's Rendition of Selected Verses: