Natiq Lakhnavi - Calcutta - 1939
Bujhi Hoowi Shama Ka Dhuwaan Hoon, Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon Keh Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai, Ab Apni Hasti Mita Raha Hoon Teri Hi Soorat Kay Daikhnay Ko, Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon Keh Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke, Tera Tasawwar Bana Raha Hoon Kafan Mein Khudh Ko Chupa Liya Hai, Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Nah Zehmat Naqaab Apne Leeay Bana Ker, Hijaab Tera Utha Raha Hoon Falak Jab Apni Teraf Say Mujh Ko, Hazaar Sadmay Day Raha Hai To Ishq Ka Us Main Bhi Aik Gham Khushi Say Utha Raha Hoon Jala Kay Shama-E-Umeed Phir Say Baha Raha Hoon Phir Ashq-E-Khooneen Bujhi Hoowi Ko Jala Raha Hoon Jail Hoowi Ko Bujha Raha Hoon Udhar Wo Ghar Se Nikal Pare Hein, Idhar Mera Dam Nikal Raha Hai Ilahi Kaise Hai Yeh Qayamat? Woh Aa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat, Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat? Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein, Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon Khilengay Johar Jo Ishq Main Hain, Bharam Khulay Ga Jo Husn Ka Hai Wafa Ko Tum Aazma Rahay Ho, Jafa Ko Main...